(Adnan Dhool Begins)
Teri baahon mein jo sukoon tha milaa
Maine dhoondha bahut par, phir na mila
(Instrumental Break)
(Momina Mustehsan Begins)
Duniya, choona, chahein mujhko yoon
Jaise unki saari ki saari, main
Duniya dekhe roop mera, koyi na jaane bechari main
Haaye tooti saari ki saari main
Tere ishq mein huyi awari main
Haaye tooti saari ki saari main
Tere ishq mein huyi awari main
(Instrumental Break)
Koyi shaam bulaaye, koyi daam lagaye
Main bhi oopar se has-ti par andar se haaye
Kyun dard chupaaye baithi hai
Kyun tu mujhse kehti hai
Main toh khud hi bikhra huya
Haaye andar andar se toota main
Tere ishq mein khud hi se rootha main
Haaye andar andar se toota main
Tere ishq mein khud hi se rootha main
(Instrumental Break)
Main jee bhar ke rolun, teri baahon mein solun
Aa phir se mujhe mil, main tujh-se yeh bolun
Tu anmol thi, pal pal bolti thi
Aisi chup tu laga ke gayi, saari khushiyan khaa ke gayi
Haye andar andar se toota main
Tere ishq mein khud hi se rootha main
Haaye teri hoon saari ki saari main .. ho .. oo ..
Par tere liye baazari main